josh par aaya nahin hai raqs-e-mastana abhi
rahne do gardish mein thoDi der paimana abhi
jam KHali ho kisi ka koi KHum ke KHum chaDhae
yar samjhe hi nahin aadab-e-mai-KHana abhi
ek zara pir-e-mughan de de hamein bhi iKHtiyar
la ke joban par dikha sakte hain mai-KHana abhi
ishq ki fitrat na badli hai na badlegi kabhi
shama raushan kijiye aata hai parwana abhi
de diya dil hum ne pura ho gaya yun ek bab
man jaen aap to pura hai afsana abhi
sun rahe hain aa rahi hai har taraf taza bahaar
apna ghar kyun lag raha hai mujh ko virana abhi
ai 'faridi' wo satate hain sata lene bhi do
kam-sini hai aur hain andaz-e-tiflana abhi

Ghazal
Josh par aaya nahin hai raqs-e-mastana abhi
Raeesuddin Fareedi