josh-o-KHarosh par hai bahaar-e-chaman hanuz
pite hain nau-jawan sharab-e-kuhan hanuz
pata nahin main yar ko mel-e-suKHan hanuz
madum hai kamar ki tarah se dahan hanuz
barson se ro raha hun shab-o-roz muttasil
hanste hain muddaton se mere zaKHm-e-tan hanuz
ruKHsar-e-yar par nahin aaghaz-e-KHat abhi
dekha nahin in aankhon ne suraj gahan hanuz
anjam-e-kar ka nahin aata KHayal kuchh
ghurbat mein bhule baiThe hain yar-e-watan hanuz
aalam un abruon ki kaji ka jo hai so hai
bal kha rahi hai zulf-e-shikan-dar-shikan hanuz
KHilat ki kya umid rakhen aasman se hum
us ne to dab rakkha hai apna kafan hanuz
aalam hijab-e-yar ka ta-haal hai wahi
KHalwat-nashin hai raushni-e-anjuman hanuz
apne safa-e-sina ka hairan kar hai
dekha nahin hai aaine ne wo badan hanuz
har-chand bagh-e-dahr mein muddat se hun muqim
'atish' nazar paDa na wo seb-e-zaqan hanuz
Ghazal
Josh-o-KHarosh par hai bahaar-e-chaman hanuz
Haidar Ali Aatish