josh-e-wahshat mere talwon ko ye iza bhi sahi
hain jahan sau aable kuchh KHar-e-sahra bhi sahi
dil mein sau baaten hain ek teri tamanna bhi sahi
sar pe hain lakh aafaten ek dagh-e-sauda bhi sahi
munh pe aanchal lijiye mujh se jo aata hai hijab
gar yahi manzur hai thoDa sa parda bhi sahi
dil mein waqt-e-zabh hai hasrat ki tum ko dekh len
marte marte KHair jine ki tamanna bhi sahi
hum adam se yan na aate the to samjhata tha dil
ek nazar gulzar-e-hasti ka tamasha bhi sahi
mera haal-e-saKHt-jaani sun ke farmane lage
tegh ke sath ek abru ka ishaara bhi sahi
garm aahen kar chuka ab khinchta hun sard aah
lijiye ThanDi hawa ka ek jhonka bhi sahi
kyun bigaDiye husn-o-rifat mein kise inkar hai
aap yusuf bhi sahi rashk-e-masiha bhi sahi
apne dil ko gar pasand aae to jaanen KHub hai
hum ne mana yar tum se koi achchha bhi sahi
tira-baKHton ke mazaron par na hogi raushni
aazma dekho charagh-e-dast-e-musa bhi sahi
chaarasazon ki KHushi hai zaKHm par hon ya na hon
marham-e-zangar ka ek-adh phaha bhi sahi
tere sar se panw tak barson mein jati hai nazar
har jagah par kahti hai yan ka tamasha bhi sahi
dil jigar mein kuchh nahin sine mein hain par aas hai
bazm ki zinat ko KHali jam-o-mina bhi sahi
ye to zahir ho gaya tum martabe mein ho buland
ab masiha se masihai ka dawa bhi sahi
us ke dar par ja ke kuchh hasil na hoga ai 'rashid'
koi bola bhi sahi tum ne pukara bhi sahi
Ghazal
Josh-e-wahshat mere talwon ko ye iza bhi sahi
Rasheed lakhnavi

