اردو हिंदी
Josh-e-girya ye dam-e-ruKHsat-e-yar aae nazar | Shaahi Shayari
josh-e-girya ye dam-e-ruKHsat-e-yar aae nazar

Ghazal

Josh-e-girya ye dam-e-ruKHsat-e-yar aae nazar

Jurat Qalandar Bakhsh

;

josh-e-girya ye dam-e-ruKHsat-e-yar aae nazar
abr-e-joshan ka bandha jaise ki tar aae nazar

rang-e-gulzar jahan garche hazar aae nazar
chain par dil ko kahan taki na yar aae nazar

apna jab ku-e-tasawwur mein guzar aae nazar
jis taraf dekhen udhar surat-e-yar aae nazar

hun main kis ghairat-e-gulzar ka zaKHmi ki mere
har bun-e-mu pe gul-e-zaKHm hazar aae nazar

bin paDhe phaD ke KHat rakh de jo wo rauzan mein
jun qalam sina mera kyun na figar aae nazar

ham-suKHan jis se na ho sakiye phir us shoKH se aah!
aur kuchh baat ka kab dar-o-madar aae nazar

ho jahan jumbish-e-lab ka bhi na yara ai wae
munh kahan ye ki jo wan bos-o-kanar aae nazar

hum dil-afroKHta wan jun sharar-e-sang hain aah
na jahan paik-e-saba ka bhi guzar aae nazar

sar-bulandi jinhen de charKH na de chain unhen
ki ba-gardish mah-o-KHur lail-o-nahaar aae nazar

jab ki har roz kaTin wade pe ghaDiyan ginte
kyun na har din hamein phir roz-e-shumar aae nazar

us ke mahram pe bhabuka si jo dekhun chiDiya
kyun na jun tair-e-simab qarar aae nazar

ho ba-sad-rang shagufta lab-e-dariya pe wo bagh
har rawish jis mein ki bas lutf-e-hazar aae nazar

chaar su naghma-sarai mein hon murghan-e-chaman
shaKH-dar-shaKH ajaib gul-o-bar aae nazar

mauj-e-dariya idhar aTkheli ki chaalen dikhlae
aur udhar raqs-kunan baad-e-bahaar aae nazar

howe atraf se ghanghor ghaTa ghir aai
kaund bijli ki ho aur paDti phuwar aae nazar

ek taraf mor munDeron pe karen kya kya shor
ek taraf abr mein baglon ki qatar aae nazar

gardish-e-jam ho jun gardish-e-chashman-e-butan
hath mein mutrib-e-sar-KHush ke sitar aae nazar

lab-ba-lab sina-ba-sina jise chahen wo ho
gulshan-e-zist ki tab hum ko bahaar aae nazar

aashiqana ghazal ab paDh koi 'jurat' tah-dar
mani-e-taza bhi ta yaron ko yar aae nazar