joban un ka uThan par kuchh hai
ab mizaj aasman par kuchh hai
kya Thikana hai baat ka un ki
dil mein kuchh hai zaban par kuchh hai
wada hai ghair se ye hila hai
kaam mujh ko makan par kuchh hai
hur ka zikr kyun kiya dam-e-marg
shubh mere bayan par kuchh hai
gum-shuda dil na ho kahin mera
un ki mahram ki pan par kuchh hai
ho ke ruswa kise kiya ruswa
zikr sab ki zaban par kuchh hai
kyun na ho shauq jalwa-e-lab-e-baam
ab jawani uThan par kuchh hai
kaho mehman-e-gham se ab ruKHsat
qarz kya mezban par kuchh hai
bang hi de jo mai nahin waiz
teri unchi dukan par kuchh hai
main ne ghura to ham-damon se kaha
dekho us naujawan par kuchh hai
rakh diya hath un se ye kah kar
Thahro ai jaan ran par kuchh hai
koi chhup kar gaya hai ghair ke ghar
shak qadam ke nishan par kuchh hai
baale pahne ulaT ke kanon mein
aur ghabrae kan par kuchh hai
hun yahan is liye dakan ko 'riyaz'
rashk hindostan par kuchh hai
Ghazal
Joban un ka uThan par kuchh hai
Riyaz Khairabadi