jo zehn o dil mein ikaTTha tha aas ka pani
use bhi le gaya sath apne yas ka pani
main le ke aaya tha ham-rah jin ko dariya tak
wo log pi gae meri bhi pyas ka pani
kab apne shahr mein sailab aane wala tha
hamein Dubo ke gaya aas-pas ka pani
hazaron aib chhupane ko lag ke duniya mein
badan pe rakhte hain zarrin libas ka pani
ajib waqt hai zahid ko bhi 'zahir' ab to
sharab lagta hai mere gilas ka pani
Ghazal
Jo zehn o dil mein ikaTTha tha aas ka pani
Zaheer Ahmad Zaheer