jo zauq hai ki ho daryaft aabru-e-sharab
to chashm-e-jam se ai shaiKH dekh su-e-sharab
kabhi to de gul-e-dastar-e-shaiKH bu-e-sharab
qaba ki bel mein yarab lage kadu-e-sharab
wo mast hain jo hain majruh-e-tegh-e-mauja-e-mai
jigar ke chaak pe ai gul bane subu-e-sharab
jo aashiq-e-lab-e-be-gun-e-yar ho farhad
to be-sutun se bhi jae shir-e-ju-e-sharab
wo mast hain ki jo tija pas-e-fana hoga
hamare phul banenge gul-e-kadu-e-sharab
hamesha mai-kade mein KHush-qadon ka majma hai
hazaron sarw lage hain kinare ju-e-sharab
lagain tak ke us mast ne jo talwaren
dahan-e-zaKHm-e-badan se bhi aai bu-e-sharab
Dubo diya mujhe tufan-e-mai ne ai saqi
amiq-tar qadd-e-amdam se nikle ju-e-sharab
namaz shukr ki paDhta hai jam toD ke shaiKH
wazu ke waste leta hai aabru-e-sharab
wo rashk-e-hur mai-e-mushkbu ka KHwahan hai
gul-e-bahisht hai mushtaq-e-rang-o-bu-e-sharab
sada-e-qulqul-e-mina se ho gaya sabit
ki peT bhar ke karen mast guftugu-e-sharab
ba-rang-e-shisha-e-mai ab ki fasl-e-barish mein
karenge baiTh ke kashti mein sair-e-ju-e-sharab
khula ye shishon ke jhukne se haal ai saqi
ki sar-kashi nahin lazim hai ru-ba-ru-e-sharab
asir-e-dam-e-alaeq hon kis tarah mai-KHwar
ki rassiyon mein nahin bandhte subu-e-sharab
na ho jo kisht-e-amal apni sabz ai saqi
riyaz-e-KHuld se hum kaT laen ju-e-sharab
ilaj-e-zoaf-e-basar nur-e-mai hai maston ko
hamari aaankhon ki chashma banegi ju-e-sharab
pata laga ke gaya su-e-gulshan-e-jannat
kahan kahan nahin ki main ne justuju-e-sharab
kisi ne saghar-e-mai se gulon ko di tashbih
nasim-e-bagh se aai jo aaj bu-e-sharab
milenge saghar-o-mina jo KHali use saqi
karenge dida-o-dil apni justuju-e-sharab
kiya jo mai-kashon ne azm-e-sair-e-alam-e-ab
to badle tonbon ke hath aa gai kadu-e-sharab
KHarid-e-jins-e-shafaat mein hogi kaifiyat
hamari ganTh mein hai naqd-e-abru-e-sharab
bahak ke jaun jo masti mein jaanib-e-kausar
to mujh ko dast-e-subu khinch lae su-e-sharab
ye kis ke aane se mai-KHana mein hui shadi
dulhan ke itr se milti hai aaj bu-e-sharab
badan jo TuT raha hai zuruf-e-mai ke sath
bana hai kya gul-e-adam se har subu-e-sharab
wo rashk-e-mai kare baala-e-baam mai-KHwari
ilahi aaj KHat-e-kahkahshan ho ju-e-sharab
zuruf-e-baada-e-gul-gun ho mere kandhon par
farishton se bhi main uThwaun har subu-e-sharab
khula ye phulon ke hone se haal ai zahid
pas-e-fana bhi hai rindon ko aarzu-e-sharab
suna hai pas masiha ke aaftab bhi hai
karenge maut ke hile se justuju-e-sharab
na ho saki koi tazir-e-mai-kashi sabit
ziyaada had se baDhi aaj guftugu-e-sharab
gada-e-baada hun ulfat mein chashm-e-maigun ke
tere faqir ka tonba bana kadu-e-sharab
huzur-e-duKHtar-e-zar hath panw kanpte hain
tamam maston ko rasha hai ru-ba-ru-e-sharab
'munir' saqi-e-kausar se lun sharab-e-tuhur
kabhi main aankh uTha kar na dekhun su-e-sharab
Ghazal
Jo zauq hai ki ho daryaft aabru-e-sharab
Muneer Shikohabadi