jo zauq-e-nazar ho to turki mein aa kar
hayat-e-azima ke aasar dekho
laga kar nai chashmak-zani ham-saron se
laqab jis ka tha mard-e-bimar dekho
miTane pe jis ke tula tha zamana
ubharta hai wo turk-e-tatar dekho
ba-izhaar-e-jurat ye zor-e-sadaqat
hue kis tarah zer aghyar dekho
ba-sad shan jata hai antakya ko
ataturk ka KHal-e-jarrar dekho
jo soe hue the jo khoe hue the
kiya un ko yak-laKHt bedar dekho
sambhalti hain gir kar chamakti hain miT kar
ye hain zinda qaumon ke atwar dekho
Ghazal
Jo zauq-e-nazar ho to turki mein aa kar
Anisa Begum