jo zaKHm jama kiye aankh-bhar sunata hun
sunoge band zaban kya nazar sunata hun
jo sun sako to sukut-e-pas-e-nawa bhi suno
yahi to main tumhein sham o sahar sunata hun
nigah lao jo rang-e-sada kashid kare
ki main to KHamoshiyon ke hunar sunata hun
yahi kamal hai mere alag takallum ka
KHabar bhi hoti nahin jo KHabar sunata hun
agarche ek hi dariya ki naghma-KHwani hai
kinara saut teri main bhanwar sunata hun
tumhaare waste shayad mera kalam na ho
jinhen KHabar nahin main kya KHabar sunata hun
Thahar gaya hai mere harf ka yahi mear
dhuan uData nahin main sharar sunata hun
Ghazal
Jo zaKHm jama kiye aankh-bhar sunata hun
Iqbal Kausar