اردو हिंदी
Jo yahan mahw-e-ma-siwa na hua | Shaahi Shayari
jo yahan mahw-e-ma-siwa na hua

Ghazal

Jo yahan mahw-e-ma-siwa na hua

Aziz Lakhnavi

;

jo yahan mahw-e-ma-siwa na hua
dur us se kabhi KHuda na hua

ahd mein tere zulm kya na hua
KHair guzri ki tu KHuda na hua

ishq ki ruh ko diya sadma
zindagi mein agar fana hua

yunhi ghuT ghaT ke miT gaya aaKHir
uqda-e-dil kisi se wa na hua

ishq hai ek tilism-e-raaz-e-baqa
miT gaya dil magar fana na hua

kar diya dil ne zinda-e-jawed
qaid-e-hasti se main riha na hua

na mili dad-e-zabt-e-ishq 'aziz'
wo kabhi sabr-azma na hua