jo yahan hazir hai wo misl-e-guman maujud hai
aur jo ghaeb hai us ki dastan maujud hai
ai ghubar-e-KHwahish-e-yak-umr apni rah le
is gali mein tujh se pahle ek jahan maujud hai
ab kisi amboh-e-gum-gashta ki jaanib ho safar
aur koi chupke se kah de tu kahan maujud hai
shayad aa pahuncha hai ahd-e-intizar-e-guftugu
chaar jaanib KHilqat-e-lab-bastagan maujud hai
raat phir aankhon se bah nikli tamanna-e-visal
aisa lagta tha ki tu bhi darmiyan maujud hai
pahle thi ek tishnagi mahrumiyon se ham-kanar
ab ragon mein nashsha-e-umr-e-rawan maujud hai
azm KHud ko karwan-e-nafa mein shamil na kar
tere shanon par abhi bar-e-ziyan maujud hai
Ghazal
Jo yahan hazir hai wo misl-e-guman maujud hai
Azm Bahzad