jo us ne kiya use sila de
maula mujhe sabr ki jaza de
ya mere diye ki lau baDha de
ya raat ko subh se mila de
sach hun to mujhe amar bana de
jhuTa hun to naqsh sab miTa de
ye qaum ajib ho gai hai
is qaum ko KHu-e-ambiya de
utrega na koi aasman se
ek aas mein dil magar sada de
bachchon ki tarah ye lafz mere
mabud inhen bolna sikha de
dukh dahr ke apne nam likkhun
har dukh mujhe zat ka maza de
ek mera wajud sun raha hai
ilham jo raat ki hawa de
mujh se mera koi milne wala
bichhDa to nahin magar mila de
chehra mujhe apna dekhne ko
ab dast-e-hawas mein aaina de
jis shaKHs ne umar-e-hijr kaTi
us shaKHs ko ek raat kya de
dukhta hai badan ki phir mile wo
mil jae to ruh ko dikha de
kya chiz hai KHwahish-e-badan bhi
har bar naya hi zaiqa de
chhune mein ye Dar ki mar na jaun
chhu lun to wo zindagi siwa de

Ghazal
Jo usne kiya use sila de
Obaidullah Aleem