jo un se kaho wo yaqin jaante hain
wo aise hain kuchh bhi nahin jaante hain
baDe jannati hain ye mai-KHwar zahid
mai-e-talKH ko angbin jaante hain
jawani KHud aati hai sau husn le kar
jawan koi ho hum hasin jaante hain
shab-e-mah banti hai har shab mere ghar
ye sab baada-wash mah-jabin jaante hain
banawaT bhi ek fan hai jo jaanta ho
teri sadgi kuchh hamin jaante hain
nigahen na aankhon ke ghunghaT se niklen
adaen ghazab sharmgin jaante hain
teri kam-nigahi se ubhre hain fitne
tujhe ghair chin-bar-jabin jaante hain
meri jaan par raat ban ban gai hai
mera haal kuchh ham-nashin jaante hain
jo waqif nahin lutf-e-tajdid se kuchh
wo tauba ki lazzat nahin jaante hain
wo sharmili aankhen wo sharmili baaten
wo hansna bhi khul kar nahin jaante hain
meri but-parasti bhi hai haq-parasti
mera martaba ahl-e-din jaante hain
baDe pak tinat baDe saf baatin
'riyaz' aap ko kuchh hamin jaante hain
Ghazal
Jo un se kaho wo yaqin jaante hain
Riyaz Khairabadi