jo umr teri talab mein ganwae jate hain
kuchh aise log bhi duniya mein pae jate hain
lagaw hai meri tanhaiyon se fitrat ko
tamam raat sitare lagae jate hain
samai jati hain dil mein wo kufr-bar aankhen
ye but-kade mere kabe pe chhae jate hain
samajh haqir na in zindagi ke lamhon ko
are inhin se zamane banae jate hain
hain dil ke dagh bhi kya dil ke dagh ai 'simab'
Tapak rahe hain magar muskurae jate hain
Ghazal
Jo umr teri talab mein ganwae jate hain
Seemab Akbarabadi