اردو हिंदी
Jo ubhre waqt ke sanche mein Dhal ke | Shaahi Shayari
jo ubhre waqt ke sanche mein Dhal ke

Ghazal

Jo ubhre waqt ke sanche mein Dhal ke

Arif Abdul Mateen

;

jo ubhre waqt ke sanche mein Dhal ke
wo Dube ek aalam ko badal ke

gham-e-manzil tujhe shayad KHabar ho
yahan pahunche hain kitne kos chal ke

ab un ke pas aansu hain na aahen
jo gham ki aag se nikle hain jal ke

zamin ki ek hi jumbish bahut hai
zamin se aa malenge ye mahal ke

hamin ne raston ki KHak chhani
hamin aae hain tere pas chal ke

in aankhon ne ye an-honi bhi dekhi
nasim-e-subh guzri gul masal ke

zamana kyun tujhi par mar raha hai
bahane jab ki lakhon hain ajal ke

teri guftar par aalim fida hai
teri baaton mein tewar hain ghazal ke

sahar hone ko hai 'arif' KHudara
ghaDi bhar so raho pahlu badal ke