jo tu nahin hai to lagta hai ab ki tu kya hai
tamam aalam-e-wahshat ye chaar su kya hai
kisi ki yaad mein aankhen chhalakti rahti hain
to aur maslak-e-ushshaq mein wuzu kya hai
udas kar gaya ye kaun masnad-e-gul ko
ye shor o shain hai kaisa ye ha-o-hu kya hai
tere huzur bhi apne hi masalon mein rahe
samajh na pae ki aankhon ke ru-ba-ru kya hai
suKHan-taraaz ho jab wo to aisa lagta hai
dilon pe nur ki barish hai guftugu kya hai
har ek aankh mein aansu har ek lab pe fughan
ye ek shor-e-qayamat sa ku-ba-ku kya hai
Ghazal
Jo tu nahin hai to lagta hai ab ki tu kya hai
Fasih Akmal