jo tu mera muqaddar bante bante rah gaya hai
samajh le, kuchh kahin par bante bante rah gaya hai
ye dil ke zaKHm to waise ke waise hi hare hain
ki tera lams mantar bante bante rah gaya hai
main teri duri-o-qurbat se aage aa gai hun
so tera naqsh dil par bante bante rah gaya hai
ajab hi kya hai jo mujh ko nahin tu mil saka to
mera har kaam aksar bante bante rah gaya hai
kahani ibtida hi se bahut uljhi hui thi
sabhi kuchh is mein behtar bante bante rah gaya hai

Ghazal
Jo tu mera muqaddar bante bante rah gaya hai
Naheed Virk