jo tum se mila hoga jo tum ne diya hoga
wo gham bhi masarrat ke sanche mein Dhala hoga
ai ham-safaro us ka kya haal hua hoga
manzil ke qarib aa kar jo shaKHs luTa hoga
hum rah-e-mohabbat se is tarah se guzrenge
jo naqsh-e-qadam hoga taswir-e-wafa hoga
hum to tumhein hasti ka muKHtar samajhte hain
jo tum ne kaha hoga achchha hi kaha hoga
ab yun hi taDapne do mujh ko mere ghamKHwaro
taskin agar doge dard aur siwa hoga
maujon ki rawani se mahsus ye hota hai
diwana koi 'ghazi' tufan se laDa hoga
Ghazal
Jo tum se mila hoga jo tumne diya hoga
Shahid Ghazi