jo tum ho do qadam aage to hum hain do qadam pichhe
ye farq-e-do-qadam kya hai na tum aage na hum pichhe
sanam us ke jamali hain sanam us ke KHayali hain
KHuda-sazi tha shughl-e-dair rahta kyun haram pichhe
ye kya insaf hai aadil baDhaya tishnagi pahle
diya teri adalat ne shuur-e-shahad-o-sam pichhe
ye hai tariKH ka darbar kuchh darwesh baiThe hain
khaDe hain qaisar o faghfur o dara-e-ajam pichhe
bulandi shiddat-e-parwaz se banti gai yani
nazar aage thi aur har fasla tha besh o kam pichhe
yahan bhi kar ke ek sajda wahan bhi kar ke ek sajda
musafir baDh gaya chiKHa kiye dair o haram pichhe
gale us se bhi kaTte hain gale is se bhi kaTte hain
rahe kyun 'mazhari' talwar se apna qalam pichhe
Ghazal
Jo tum ho do qadam aage to hum hain do qadam pichhe
Jameel Mazhari