اردو हिंदी
Jo tujhe paikar-e-sad-naz-o-ada kahte hain | Shaahi Shayari
jo tujhe paikar-e-sad-naz-o-ada kahte hain

Ghazal

Jo tujhe paikar-e-sad-naz-o-ada kahte hain

Farhat Nadeem Humayun

;

jo tujhe paikar-e-sad-naz-o-ada kahte hain
qadr-dan husn ke ye baat baja kahte hain

us ke chehre ki ziya se hai chamak suraj ki
us ki bikhri hui zulfon ko ghaTa kahte hain

wo jo aankhon se pilae to chalo pi lenge
waise hum pine pilane ko bura kahte hain

surKH hathon ki haqiqat to hami jaante hain
jo nahin jaante wo rang-e-hina kahte hain

baat achchhi hi wo karte hain hamare haq mein
jo hamare liye kahte hain baja kahte hain

saKHt pathrili zamin par bhi khilate hain gulab
sher hum kahte hain aur sab se siwa kahte hain

ye riwayat hai zamane ki nai baat nahin
hoti aai hai ki achchhon ko bura kahte hain

aaj gahware mein baiThe hain sabhi ahl-e-adab
is faza hi ko mohabbat ki faza kahte hain

hum ne ki mashq-e-suKHan misra-e-'ghaalib' pe 'nadim'
log is bare mein ab dekhiye kya kahte hain