jo tujhe aur mujhe ek kar saka nahin
wo tera KHuda nahin wo mera KHuda nahin
zindagi mili kabhi to gila karenge par
zindagi mili nahin to gila kiya nahin
main jo is dayar mein ab talak nahin mara
kya mera koi aziz ab yahan bacha nahin
jis ke ehtiram mein sar kaTa diya gaya
us ko to KHabar nahin us ko to pata nahin
KHud se dur ho gae chur chur ho gae
rassi jal gai magar us ka bal gaya nahin
zaKHm ki nazakaton ko nahin samajh saka
tu 'waqar'-KHan hai jaun-elia nahin
Ghazal
Jo tujhe aur mujhe ek kar saka nahin
Waqar Khan