jo teri nazar mein pinhan na ye e'tibar hota
meri jaan ghubar hoti mera dil mazar hota
kahin hum bhi DhunD lete koi aafiyat ka unwan
ye jo be-qarar dil hai ise gar qarar hota
koi ramz-did hota ki bana-e-sukun ho
meri aarzu bahalti agar intizar hota
ye shaban-e-hijr kaTtin ye dil-e-hazin bahalta
jo sahar ke aaine mein kahin ru-e-yar hota
kabhi shaKH-e-gul lachak kar KHabar-e-bahaar deti
kahin surmai faza mein koi naghma-bar hota
na jo dil ke aasman par koi barq si lapakti
gham-e-marg-e-arzu hi mera gham-gusar hota
teri be-ruKHi pe khulta kabhi dard-e-dil ka mazmun
na ye harf-e-muKHtasar gar tere dil pe bar hota
Ghazal
Jo teri nazar mein pinhan na ye etibar hota
Sajida Zaidi