jo tere pahlu mein guzri zindagi achchhi lagi
gham tera achchha laga teri KHushi achchhi lagi
yas ke mausam mein us ki dil-lagi achchhi lagi
aankh nam ho kar bhi honTon par hansi achchhi lagi
dukh bhi us ki rah mein hain sukh bhi us ki rah mein
maut se har aadmi ko zindagi achchhi lagi
hadse par hadse hi ho rahe hain kya KHabar
aasman wale ko meri bebasi achchhi lagi
ho gae gumrah wo aa kar tumhaare shahr mein
sab ko us tahzib-e-nau ki raushni achchhi lagi
KHwab ki wadi mein tanha phir raha hun roz-o-shab
dosti achchhi na mujh ko rahbari achchhi lagi
jagti aankhon se sahir dekhta hun dahr ko
gulistan mein khilne wali har kali achchhi lagi
Ghazal
Jo tere pahlu mein guzri zindagi achchhi lagi
Sahir Shevi