jo tere dar pe meri jaan aaya
mar gaya kahta main kahan aaya
dekhen ab kis ka parda uTThega
harf-e-shikwa sar-e-zaban aaya
mat uTha is ko sau jihat se hae
dar pe tere ye na-tawan aaya
tere hathon se be-qarari-e-dil
ji hamara bhi ab ba-jaan aaya
tu to ek hi taraf se yan se gaya
gham hazaron taraf se yan aaya
mar hi jaana bhala hai mir-'raza'
yar ab bahr-e-imtihan aaya
Ghazal
Jo tere dar pe meri jaan aaya
Raza Azimabadi