jo the hath mehndi lagane ke qabil
hue aaj KHanjar uThane ke qabil
anadil bhi kaliyan bhi gul bhi saba bhi
ye sohbat hai hansne-hansane ke qabil
hina ban ke main chum lun dast-e-nazuk
tere hath hain rang lane ke qabil
jawani ka ab rang kuchh aa chala hai
wo ab ho chale hain satane ke qabil
mujhe dekh kar duKHt-e-raz tan rahi hai
ye khinch kar hui hai uDane ke qabil
qayamat mein dekhenge kyunkar unhen hum
nahin sharm se aankh uThane ke qabil
banaen na ab us ko ab sham-e-mahfil
jala dil nahin hai jalane ke qabil
chaman mein uDa un ko ai baad-e-sarsar
mere TuTe par hain uDane ke qabil
bane shoale bijli ke qismat se meri
jo tinke the kuchh aashiyane ke qabil
buDhape mein sabit hue duzd-e-mai hum
na aane ke qabil na jaane ke qabil
ye kahti hai hazrat ki rish-e-hinai
'riyaz' ab bhi hain rang lane ke qabil
Ghazal
Jo the hath mehndi lagane ke qabil
Riyaz Khairabadi