jo thake thake se the hausle wo shabab ban ke machal gae
wo nazar nazar se gale mile to bujhe charagh bhi jal gae
ye shikast-e-did ki karwaTen bhi baDi latif o jamil thin
main nazar jhuka ke taDap gaya wo nazar bacha ke nikal gae
na KHizan mein hai koi tirgi na bahaar mein koi raushni
ye nazar nazar ke charagh hain kahin bujh gae kahin jal gae
jo sambhal sambhal ke bahak gae wo fareb-KHurda-e-rah the
wo maqam-e-ishq ko pa gae jo bahak bahak ke sambhal gae
jo khile hue hain rawish rawish wo hazar husn-e-chaman sahi
magar un gulon ka jawab kya jo qadam qadam pe kuchal gae
na hai 'shair' ab gham-e-nau-ba-nau na wo dagh-e-dil na wo aarzu
jinhen e'timad-e-bahaar hai wahi phul rang badal gae
Ghazal
Jo thake thake se the hausle wo shabab ban ke machal gae
Shaayar Lakhnavi