jo teri rahguzar mein chubha tha KHar mujhe
safar ki yaad dilata hai bar bar mujhe
wo KHush-ada hai bahut log mujh se kahte hain
magar ye baat guzarti hai nagawar mujhe
tamam-umr guzar jae tujh tak aane mein
na itni dur se ai zindagi pukar mujhe
zamana bit gaya mahw-e-raqs chaak pe hun
koi bhi shakl ho ai kuza-gar utar mujhe
main shauq-e-did liye aa gaya tha kuche mein
ki chhoDta hi nahin ab tera dayar mujhe
main apne ku-e-tamanna mein muntazir hi raha
talash karti rahi dasht mein bahaar mujhe
jafa ho ya ki wafa main asir-e-dard raha
kisi bhi taur na aaya kabhi qarar mujhe
jab us ne toD diya rishta-e-wafa 'tariq'
to phir ye kis liye us ka hai intizar mujhe

Ghazal
Jo teri rahguzar mein chubha tha Khaar mujhe
Shariq Balyavi