اردو हिंदी
Jo tere husn mein narmi bhi bankpan bhi hai | Shaahi Shayari
jo tere husn mein narmi bhi bankpan bhi hai

Ghazal

Jo tere husn mein narmi bhi bankpan bhi hai

Sulaiman Areeb

;

jo tere husn mein narmi bhi bankpan bhi hai
wo kaif-e-taza bhi hai nashsha-e-kuhan bhi hai

mujhe to chain se rahne de ai dil-e-wahshi
ki dasht bhi hai tere samne chaman bhi hai

kahan ki manzil-e-maqsud rasta bhi nahin
safar mein sath KHuda bhi hai ahrman bhi hai

wo ek lamha-e-parran wo ek saat-e-did
hina ba-dast bhi hai lala-pairahan bhi hai

ba-chashm-e-shabnam-e-giryan agar koi dekhe
tera libas hi ai gul tera kafan bhi hai

wo ek gosha-e-dakan jise dakan kahiye
nigar shair-e-badnam ka watan bhi hai