jo takabbur se bhaTakti hai zaban
aage aage phir bahakti hai zaban
ho gaya nasur har ek lafz hai
bolta hun pakne lagti hai zaban
jild se chhan chhan ke bahte hain KHayal
aur aankhon se chhalakti hai zaban
nam-e-jaan kitna garan hai jaan pe
halq galta hai pighalti hai zaban
moajiza hai ye bhi us ke qaul ka
bund ban kar jo barasti hai zaban
kuchh mulaqaton mein hi hai ye asar
tujh mein bhi meri jhalakti hai zaban
Ghazal
Jo takabbur se bhaTakti hai zaban
Atif Khan