jo suraj ho to har manzar ujala kyun nahin karte
ye aaThon pahr ki raaten sawera kyun nahin karte
tajjub hai mujhi ko apni mahfil mein nahin dekha
nahin dekha agar tum ne to dekha kyun nahin karte
churaata hai wo pahle nind phir shoKHi se kahta hai
ye shab bhar jagte rahte ho soya kyun nahin karte
hisab-e-dostan ai dil KHayal-e-nek hai lekin
tumhaare pas bhi dil hai tum aisa kyun nahin karte
mere bhai agar tairak banna chahte ho tum
to dariya ke kinare se kinara kyun nahin karte
uTha kar roz le jata hai mere KHwab ka manzar
wo mujh se roz kahta hai bharosa kyun nahin karte
to din ko ishq ki baaten samajh hi mein nahin aaen
samajh hi mein nahin aain to samjha kyun nahin karte
dilon ka qarz raqmon se ada hota nahin 'KHalid'
bahut aasan hai ye kahna taqaza nahin karte
Ghazal
Jo suraj ho to har manzar ujala kyun nahin karte
Khalid Mahmood