اردو हिंदी
Jo sunte hain to main mamnun hun unki inayat ka | Shaahi Shayari
jo sunte hain to main mamnun hun unki inayat ka

Ghazal

Jo sunte hain to main mamnun hun unki inayat ka

Natiq Gulavthi

;

jo sunte hain to main mamnun hun un ki inayat ka
kahun kya ab ki mauqa hi nahin baqi shikayat ka

naya mazmun kya hota wo KHat mein aur kya likhte
wahi aaya hai jo likkha hua tha apni qismat ka

hamein to aap ki bebakiyon se Dar hi rahta hai
nahin malum kis din waqt aa jae nadamat ka

nazar aata nahin ab ghar mein wo bhi uf re tanhai
ek aaine mein pahle aadmi tha meri surat ka

thake ahbab aaKHir har tarah 'natiq' ko samjha kar
asar minnat samajat ka na kuchh lanat malamat ka