اردو हिंदी
Jo sunta hun kahunga main jo kahta hun sununga main | Shaahi Shayari
jo sunta hun kahunga main jo kahta hun sununga main

Ghazal

Jo sunta hun kahunga main jo kahta hun sununga main

Anwar Shuoor

;

jo sunta hun kahunga main jo kahta hun sununga main
hamesha majlis-e-nutq-o-samaat mein rahunga main

nahin hai talKH-goi shewa-e-sanjidgan lekin
mujhe wo galiyan denge to kya chup sadh lunga main

kam-az-kam ghar to apna hai agar viran bhi hoga
to dahliz o dar-o-diwar se baaten karunga main

yahi ehsas kafi hai ki kya tha aur ab kya hun
mujhe bilkul nahin tashwish aage kya banunga main

meri aankhon ka sona chahe miTTi mein bikhar jae
andheri raat teri mang mein afshan bharunga main

husul-e-agahi ke waqt kash itni KHabar hoti
ki ye wo aag hai jis aag mein zinda jalunga main

koi ek aadh to hoga mujhe jo ras aa jae
bisat-e-waqt par hain jis qadar mohre chalunga main

agar is martaba bhi aarzu puri nahin hogi
to is ke baad aaKHir kis bharose par jiyunga main

yahi hoga kisi din Dub jaunga samundar mein
tamannaon ki KHali sipiyan kab tak chununga main