jo sun kar lagi zer-e-lab muskurane
ye kya kah diya tha kali se saba ne
mere sher anmol lal-o-gohar hain
luTae tere gham ne kya kya KHazane
shafaq khil uThi champai aarizon par
nikhaara tere rang-e-ruKH ko haya ne
raha hai wahi dil ka ehsas-e-ulfat
badalte rahe lakh karwaT zamane
mohabbat ka un ko yaqin aa chala hai
haqiqat bane ja rahe hain fasane
jhijhak kar kisi ne churain jo nazren
charagh-e-tamanna laga jhilmilane
kabhi ye bhi socha hai ai hansne walo
agar paD gae tum ko aansu bahane
wo tufan baad-e-muKHalif kahan hai
jo uTTha tha ai 'naqsh' mujh ko miTane
Ghazal
Jo sun kar lagi zer-e-lab muskurane
Mahesh Chandra Naqsh