jo sochta hun agar wo hawa se kah jaun
hawa ki lauh pe mahfuz ho ke rah jaun
ye kya yaqin ki tu mil hi jaega mujh ko
teri judai ka jaan lewa dik to sah jaun
KHud apne aap ko dekhun waraq waraq kar ke
kisi ke samne jaun to tah-ba-tah jaun
khaDa hun surat-e-diwar reg-e-sahil par
zara si mauj bhi aae to ghul ke bah jaun
mere KHuda mujhe izhaar ki wo qudrat de
mujhe jo kahna hai ek lafz mein hi kah jaun
harif-e-koshish-e-parwaz hai ye mausam-e-barf
main aashiyan mein hi par khol khol rah jaun
chaTan ban ke bhi kab tak bacha rahunga 'riyaz'
misal-e-KHas abhi sail-e-zaman mein bah jaun
Ghazal
Jo sochta hun agar wo hawa se kah jaun
Riaz Majeed

