jo shikayat-e-gham-e-zindagi kabhi lab par apne na la sake
wo shab-e-firaq ki dastan bhala kya kisi ko suna sake
kai sar se guzrin qayamaten paDin hum pe lakh musibaten
din falak ne kitni aziyyaten tumhein dil se hum na bhula sake
tu wafa-shanas zarur hai ye tamam apna qusur hai
ye ajab junun ka ghurur hai tere aastan pe na ja sake
wahi dard-e-dil ki hai dastan jo hamesha dil mein rahe nihan
kare ek bar koi bayan to zamane-bhar ko rula sake

Ghazal
Jo shikayat-e-gham-e-zindagi kabhi lab par apne na la sake
Saib Asmi