jo shaKHs rah banata raha daraKHton mein
usi ko chhoD gaya rasta daraKHton mein
uchhal paDa tha jab ek bar jhil ka pani
badan chhupati phiri thi hawa daraKHton mein
nikal to aai kiran aarzu ke jangal se
ulajh ke rah gai lekin qaba daraKHton mein
zamane bhar ki tamazat se tha sukun lekin
ajib KHauf ka ehsas tha daraKHton mein
kahin charagh kahin aaina kahin KHushbu
rawan hai koi ajab qafila daraKHton mein
Ghazal
Jo shaKHs rah banata raha daraKHton mein
Khaavar Ejaz