اردو हिंदी
Jo shaKHs bhi mila hai wo ek zinda lash hai | Shaahi Shayari
jo shaKHs bhi mila hai wo ek zinda lash hai

Ghazal

Jo shaKHs bhi mila hai wo ek zinda lash hai

Afzal Minhas

;

jo shaKHs bhi mila hai wo ek zinda lash hai
insan ki dastan baDi dil-KHarash hai

daman darida qalb-o-nazar zaKHm zaKHm hain
ab shahr-e-arzu mein yahi bud-o-bash hai

bas ab to rah gai hai dikhawe ki zindagi
sanson ke tar tar mein ek irtiash hai

miTTi ne pi liya hai hararat bhara lahu
josh-e-numu mila to badan qash qash hai

kanTon ne bhi KHizan ki ghulami qubul ki
dekho to aaj chehra-e-gul pur-KHarash hai

wo daur ab kahan ki tumhaari ho justuju
is daur mein to hum ko KHud apni talash hai

'afzal' wo ban sanwar ke to aa jaenge kabhi
aaina-e-hayat magar pash pash hai