jo shaKHs akela hi bojhal safar se aaya tha
kisi ne puchha wo luT kar kidhar se aaya tha
ye raushni to meri wahshaten baDha gai aur
main raushni mein andheron ke Dar se aaya tha
jise kahin bhi na Tikne diya hawaon ne
wo barg kuchh bhi tha kaT kar shajar se aaya tha
jo sang itni hararat lahu ko baKHsh gaya
mujhe nawazne mere hi ghar se aaya tha
nawed-e-amad-e-chaara-garan ko jug bite
qarar dil ko zara is KHabar se aaya tha
hum itne aae jhulas kar kisi ne ye na kaha
tumhaara qafila kis rah-guzar se aaya tha
mila jo kuze ko aanchon mein tap ke rang-e-sabaat
wo pahle sholagi-e-kuza-gar se aaya tha
ajib dhun ka musafir tha kuch kar gaya aaj
gharib ghar ki hi chahat mein ghar se aaya tha
Ghazal
Jo shaKHs akela hi bojhal safar se aaya tha
Mahshar Badayuni