jo shajar sukh gaya hai wo hara kaise ho
main payambar to nahin mera kaha kaise ho
dil ke har zarre pe hai naqsh mohabbat us ki
nur aankhon ka hai aankhon se juda kaise ho
jis ko jaana hi nahin us ko KHuda kyun manen
aur jise jaan chuke hain wo KHuda kaise ho
umr sari to andhere mein nahin kaT sakti
hum agar dil na jalaen to ziya kaise ho
jis se do roz bhi khul kar na mulaqat hui
muddaton baad mile bhi to gila kaise ho
dur se dekh ke main ne use pahchan liya
us ne itna bhi nahin mujh se kaha kaise ho
wo bhi ek daur tha jab main ne tujhe chaha tha
dil ka darwaza hai har waqt khula kaise ho
jab koi dad-e-wafa chahne wala na raha
kaun insaf kare hashr bapa kaise ho
aaine mein bhi nazar aati hai surat teri
koi maqsud-e-nazar tere siwa kaise ho
kin nigahon se use dekh raha hun 'shahzad'
mujh ko malum nahin us ko pata kaise ho
Ghazal
Jo shajar sukh gaya hai wo hara kaise ho
Shahzad Ahmad