jo shab bhar aansuon se tar rahega
sahar dam daman-e-dil bhar rahega
ilaj us ka guzar jaana hai jaan se
guzar jaane ka jaan se Dar rahega
hua mushkil tere aashiq ka jina
tere kuche mein aa kar mar rahega
dil-e-wahshi ne kab aaram paya
sitam ki aag mein jal kar rahega
hayat-e-jawedan ho ya ki duniya
tera banda tere dar par rahega
na ho isyan to kaisa hashr ka din
kahan phir dawar-e-mahshar rahega
haqaeq se jo dil uljha hua hai
wahi KHwabon ka surat-gar rahega
koi to KHair ka pahlu bhi nikle
akela kis tarah ye shar rahega
na bazm-e-mai-kada baqi rahegi
na dast-e-shauq mein saghar rahega
jo din hai aane wala be-aman hai
qadam ghar se agar bahar rahega
koi to aazmi-sahib ko samjhao
ye gosha shahr se behtar rahega
Ghazal
Jo shab bhar aansuon se tar rahega
Anjum Azmi