jo sarguzisht apni hum kahenge koi sunega to kya karenge
jo yaad aaengi teri baaten to chup hi pahron raha karenge
jo chaho kah lo yahi KHushi hai to hum bhi phir kyun gila karenge
jo kuchh sunaegi apni qismat tumhaare munh se suna karenge
kise gharaz hai phir aap ko kyun sanam ka banda kaha karenge
jo yunhi hum ko bhulaenge wo to hum bhi yaad-e-KHuda karenge
abas ye har-dam ka chaunkna hai abas ye uTh uTh ke dekhna hai
bhala wo aise hue the kis din wahi to wada wafa karenge
ilahi qasid abhi na aae ki ye tawaqqoa bhi hai ghanimat
kiya gar inkar saf us ne to dil ki taskin kya karenge
lo mil bhi jao na kuchh tumhaari KHata thi us dam na kuchh hamari
jo ye hi dil ke muamle hain to yunhi jhagDe raha karenge
hamein to dekho ye kya hua hai ki un ke kahne ka phir yaqin hai
wo jo jhuT yunhi kaha karenge adu se yunhi mila karenge
sitam ki kije agar shikayat to kahte hain bas tumhein bhi dekha
yahan kuchh aisi gharaz hai kis ko kisi pe hum kyun jafa karenge
ye sach hai naseh! na hoga milna nahin hai achchha na hoga achchha
phir aap ko kya bura kahenge to apne haq mein bura karenge
'nizam' taqrir phir abas hai jawab kuchh us ka de sakoge
wo us ka har baat par ye kahna ki hum to apna kaha karenge
Ghazal
Jo sarguzisht apni hum kahenge koi sunega to kya karenge
Nizam Rampuri