jo samajhna chahiye tha wo kahan samjha tha main
is jahan-e-rang-o-bu ko KHak-dan samjha tha main
waqt ki Thokar ne zahir kar diye jauhar mere
zindagi ko apni sang-e-raegan samjha tha main
us ne bhar di jaan-o-dil mein ek nai tabindagi
jis nigah-e-garm ko barq-e-tapan samjha tha main
apni hi kotah-dasti ka nikal aaya qusur
kal jise be-mehri-e-pir-e-mughan samjha tha main
Ghazal
Jo samajhna chahiye tha wo kahan samjha tha main
Bakhtiyar Ziya

