jo sajta hai kalai par koi zewar hasinon ki
tabhi baDhti hain qimat jauhari tere naginon ki
uTha deti hai diwaren dilon ke bich ye akasr
zarurat kyun ho phir hum ko bhala aisi zaminon ki
usi mein chhed karte hain ki jis thaali mein khate hain
badal sakti nahin aadat kabhi aisi kaminon ki
bhara hai lakh phulon se mere ghar ka hasin aangan
yahi hai meri daulat mujh ko kya chahat dafinon ki
kabhi mehnat mashaqqat se kama loge bahut daulat
magar badloge tum kaise lakiron ko jabinon ki
uTha kar ek bar un ko laga lo apne honTon se
chuengi aasman ko qimaten un aabginon ki
jo nukta-chin hain rahna hai hamesha nukta-chin un ko
badal sakti nahin fitrat kabhi bhi nukta-chinon ki
Ghazal
Jo sajta hai kalai par koi zewar hasinon ki
Shobha Kukkal