jo sahra hai use kaise samundar likh diya jae
ghazal mein kis tarah rahzan ko rahbar likh diya jae
qalam ke dosh par ho imtihan ka bojh jis had tak
magar haq to ye hai patthar ko patthar likh diya jae
kisi inam ki KHatir na hoga hum se ye hargiz
ki ek shahin ko jangali kabutar likh diya jae
sitam ki dastan kis raushnai se raqam hogi
lahu ki dhaar se daftar ka daftar likh diya jae
kisanon ko mayassar jab nahin do waqt ki roTi
to aise khet ko be-sud-o-banjar likh diya jae
hamari tishnagi se bhi koi masrur hota hai
hamari pyas ko labrez saghar likh diya jae
qalam ko main ne bhi talwar aaKHir kar liya 'talib'
meri nok-e-qalam ko nok-e-KHanjar likh diya jae
Ghazal
Jo sahra hai use kaise samundar likh diya jae
Murlidhar Sharma Talib