jo sahifon mein likhi hai wo qayamat ho jae
gar mohabbat dil-e-insan se bhi ruKHsat ho jae
tu zaminon pe utar kar jo guzare ek din
aasmanon ke KHuda tujh ko bhi hairat ho jae
kahin aisa na ho ki tanha yunhi rahte rahte
rafta rafta mujhe tanhai ki aadat ho jae
kuchh bashar aise bhi hote hain ki jin se mil kar
dewtaon ki tarah un se aqidat ho jae
bad-dua us ne mujhe di hai ki 'ruhi' tujh ko
apne jaise kisi zalim se mohabbat ho jae
Ghazal
Jo sahifon mein likhi hai wo qayamat ho jae
Rehana Roohi