اردو हिंदी
Jo sans sans sahi us saza ka nam na lo | Shaahi Shayari
jo sans sans sahi us saza ka nam na lo

Ghazal

Jo sans sans sahi us saza ka nam na lo

Syed Kashif Raza

;

jo sans sans sahi us saza ka nam na lo
hamare sath raho bas wafa ka nam na lo

kaho to ye kaho dil ko KHush aa rahi hai hawa
masham-e-jaan se guzarti saba ka nam na lo

huzur-e-husn jo rahna hai yun hi KHush-auqat
sitara o jigar-e-soKHta ka nam na lo

mili hai jo nigah-e-yar ki ishaarat se
raza-e-yar hai ye tum qaza ka nam na lo

bikharne lagti hai ruKH par haya usi jaisi
hamare samne us KHush-ada ka nam na lo

ye ahd-e-ishq tere mere darmiyan hi rahe
KHuda ke waste is mein KHuda ka nam na lo