اردو हिंदी
Jo salik hai to apne nafs ka irfan paida kar | Shaahi Shayari
jo salik hai to apne nafs ka irfan paida kar

Ghazal

Jo salik hai to apne nafs ka irfan paida kar

Seemab Akbarabadi

;

jo salik hai to apne nafs ka irfan paida kar
haqiqat teri kya hai pahle ye pahchan paida kar

jahan jaane ko sab dushwar hi dushwar kahte hain
wahan jaane ka koi rasta aasan paida kar

haqiqat ka kahe jo haal kar aisi zaban paida
mohabbat ke sunen jo git aise kan paida kar

hudud-e-alam-e-takwin mein sab mumkin hi mumkin hai
tu na-mumkin ke jhagDe mein na paDa imkan paida kar

ilahi bhed tere us ne zahir kar diye sab par
kaha tha kis ne tu 'simab' ko insan paida kar