jo riwayat bhul jate hain
apni har baat bhul jate hain
ahl-e-dil ahl-e-dard ahl-e-karam
de ke KHairaat bhul jate hain
aap aaen to fart-e-shauq se hum
din hai ya raat bhul jate hain
apni miTTi ke ghar bana kar bhi
log barsat bhul jate hain
gulsitan mein KHizan bhi aaegi
phul aur pat bhul jate hain
yaad rakhte hain aap sab baaten
lekin ek baat bhul jate hain
jab bhi wo KHush-nazar mile 'rifat'
gham ke lamhat bhul jate hain
Ghazal
Jo riwayat bhul jate hain
Rifat Sultan