jo raqibon ne kaha tu wahi bad-zan samjha
dost afsos na samjha mujhe dushman samjha
na-tawan wo hun ki bistar pe mujhe dekh ke aah
tar-e-bistar koi samjha koi sozan samjha
tegh-e-qatil jo mohabbat se lagi aa ke gale
tab ko us ki main apni rag-e-gardan samjha
apne pajama-e-kam-KHwab ki har boTi ko
shama-ru shab ko charagh-e-tah-e-daman samjha
sur-at-e-ablaq-e-ayyam se ghafil tha aah
dam-e-aKHir main use umr ka tausan samjha
KHar-e-sahra se chhidi jab kaf-e-pa majnun ki
KHak-bezi ko wo ghirbaal ka rauzan samjha
kamar-e-yar ka az-bas-ki jo rahta hai KHayal
dil ko main chini-e-mu-dar ka bartan samjha
gul ko malum na thi hasti-e-fani apni
ai nasim-e-sahari waqt-e-shaguftan samjha
bistar-e-gul se munaqqash jo hua us ka badan
tan-e-nazuk pe wo phul-kari ki chipkan samjha
jite-ji chahiye hai aaqibat-e-kar ki fikr
faeda kya agar insan pas-e-murdan samjha
mirzai ko na fariyaad ne chhoDa ta-marg
jigha-e-sar tujhe ai tesha-e-ahan samjha
aks-afgan hai tere saghar-e-sahba mein ye zulf
tu abas ai but-e-mai-kash use nagan samjha
saya-e-zulf ne us ke ye diya dhoka raat
chalne walon ne jise afi-e-rahzan samjha
chashm ne apni taraf se to sujhai thi 'nasir'
dil na par us sitam-ijad ki chitwan samjha
Ghazal
Jo raqibon ne kaha tu wahi bad-zan samjha
Shah Naseer