jo rahin-e-taghayyuraat nahin
maut hai maut wo hayat nahin
kuchh bahaaron hi pe nahin mauquf
meri wahshat ko bhi sabaat nahin
masale husn ke bhi nazuk hain
ishq hi ke muamlat nahin
aaj se dil ye bazm hai un ki
ye harim-e-tasawwuraat nahin
shaKH-e-gul ho ki gardan-e-mina
mere hathon mein un ka hat nahin
kaba-o-dair ko sabaat hai kab
mai-kade ko agar sabaat nahin
husn se kaenat hai 'saghar'
ishq buniyaad-e-kaenat nahin

Ghazal
Jo rahin-e-taghayyuraat nahin
Saghar Nizami